sip muTThi mein hai aafaq bhi ho sakta hai
aur agar chahun to ye KHak bhi ho sakta hai
ye jo masum sa Dar hai kisi bachche jaisa
aise haalat mein saffak bhi ho sakta hai
aao us tisre nukte pe bhi kuchh ghaur karen
hum jise juft kahen taq bhi ho sakta hai
wajd mein raqs to be-KHauf kiya jata hai
ho agar ishq to bebak bhi ho sakta hai
hijr nasur hai chup-chap hi jhelo is ko
aah-o-zari se KHatarnak bhi ho sakta hai
ye jo sarsabz sa lagta hai umidon ka shajar
rut badalne pe ye KHashak bhi ho sakta hai
to abhi bhej de us par se rahmat koi
main ye sunti hun karam Dak bhi ho sakta hai
wo jo koson tujhe phaila hua aata hai nazar
wo samundar meri poshak bhi ho sakta hai
ye siyah-baKHt use DhunDne lag jaen agar
un ko phir nur ka idrak bhi ho sakta hai
main jo miTTi se KHuda aur banana chahun
aasman mere liye chaak bhi ho sakta hai
kyun na 'injil' dobara se utari jae
koi isai ki tarah pak bhi ho sakta hai
Ghazal
Sip muTThi mein hai aafaq bhi ho sakta hai
Injeel Saheefa