اردو हिंदी
Sinon mein agar hoti kuchh pyar ki gunjaish | Shaahi Shayari
sinon mein agar hoti kuchh pyar ki gunjaish

Ghazal

Sinon mein agar hoti kuchh pyar ki gunjaish

Asad Raza

;

sinon mein agar hoti kuchh pyar ki gunjaish
hathon mein nikalti kyun talwar ki gunjaish

pichhDe hue ganw ka shayad hai wo bashinda
jo shahr mein DhunDe hai isar ki gunjaish

nafrat ki tassub ki yun rakkhi gain inTen
paida hui zehnon mein diwar ki gunjaish

pakizgi ruhon ki nilam hui jab se
jismon mein nikal aai bazar ki gunjaish

is tarah khule dil se iqrar nahin karte
rakh lijiye thoDi si inkar ki gunjaish

gar azm musammam ho aur jehd-e-musalsal bhi
sahra mein nikal aae gulzar ki gunjaish

samjhen ki na samjhen wo hum ne to 'asad' rakh di
ashaar ke honTon pe izhaar ki gunjaish