sine pe kitne dagh liye phir raha hun main
zaKHmon ka ek bagh liye phir raha hun main
Dar hai ki tirgi mein qadam Dagmaga na jae
ek shahr-e-be-charagh liye phir raha hun main
saqi na puchh aaj ke shisha-garon ka haal
TuTa hua ayagh liye phir raha hun main
kya jaane kis ke nam hai ye nama-e-karam
milta nahin suragh liye phir raha hun main
puchhe na jis ko haal na mustaqbil-e-hasin
mazi ka wo dimagh liye phir raha hun main
'nayyar' ho aaise daur mein kya raushni ki baat
bin tel ka charagh liye phir raha hun main
Ghazal
Sine pe kitne dagh liye phir raha hun main
Nayyar Sultanpuri