sine par rakh hijrat ka patthar chup-chap
ghar mein rah aur chhoD de apna ghar chup-chap
chiKH chiKH kar maujen mujhe bulati thin
main Duba to baiTh gaya sagar chup-chap
main sahra ke band makan mein rahta hun
KHushbu kahan se aati hai andar chup-chap
gora-chaTTa rup wo kala jadu tha
mujh par phunk ke bhag gaya mantar chup-chap
main ne apna sina chir ke dikhlaya
lauT gae kyun dard ke saudagar chup-chap
mere aansu pine sham ko ek chiDiya
meri god mein aa baiThe uD kar chup-chap
ek tanha hai 'ashk' jo bole jata hai
sab andar KHamosh hain sab bahar chup-chap

Ghazal
Sine par rakh hijrat ka patthar chup-chap
Parveen Kumar Ashk