sine mein mere bojh bhi aur dahka chaman bhi
kya chiz teri yaad hai KHushbu bhi ghuTan bhi
pahle to tamanna thi teri sirf magar ab
aankhon mein nazar aane lagi meri thakan bhi
hai ishq safar dil se faqat dil ka magar kyun
is rah mein aate hain bayaban bhi chaman bhi
jo dil pe guzarti hain raqam kar use dil par
zaKHmon ki numaish na bane bazm-e-suKHan bhi
tapti hui dharti ko mere chhaalon ne sincha
kuchh kaam to aaya hai chalo bawla-pan bhi
hairat hai, mujhe sans wahin aati hai jaanan
ghuT jaana sikhae jahan yaadon ki pawan bhi
kumhlaya zara rang to wo soch mein Dube
aahon se mila karta hai kuchh sanwala-pan bhi
pairon ke tale se kahin miTTi na khisak jae
zid hai meri muTThi mein ho dharti bhi gagan bhi
mahbub ke chehre ke muqabil bhi raha par
is daur mein aaya to hua chand mission bhi
'nawnit' tu hai fazl ki unchai ka hissa
rakh dil mein agar nur to rakh zehn mein fan bhi
Ghazal
Sine mein mere bojh bhi aur dahka chaman bhi
Navneet Sharma