sine mein KHizan aankhon mein barsat rahi hai
is ishq mein har fasl ki saughat rahi hai
kis tarah KHud apne ko yaqin aae ki us se
hum KHak-nashinon ki mulaqat rahi hai
sufi ka KHuda aur tha shaer ka KHuda aur
tum sath rahe ho to karamat rahi hai
itna to samajh roz ke baDhte hue fitne
hum kuchh nahin bole to teri baat rahi hai
hum mein to ye hairani-o-shoridgi-e-ishq
bachpan hi se minjumla-e-adat rahi hai
is se bhi to kuchh rabt jhalakta hai ki wo aankh
bas hum pe inayat mein mohtat rahi hai
ilzam kise den ki tere pyar mein hum par
jo kuchh bhi rahi hasb-e-riwayat rahi hai
kuchh 'mir' ke haalat se hasil karo ibrat
le de ke ab ek izzat-e-sadat rahi hai

Ghazal
Sine mein KHizan aankhon mein barsat rahi hai
Mustafa Zaidi