sine mein kasak ban ke utarne ke liye hai
har lamha-e-hasil ki guzarne ke liye hai
sanwarega na is sham sar-e-aina koi
ye sham to tere hi sanwarne ke liye hai
namus-e-gulistan ka taqaza sahi kuchh bhi
KHushbu to magar qaid na karne ke liye hai
tum ret mein chaho to use khe na sakoge
kashti jo samundar mein utarne ke liye hai
kuchh aur nahin dil ki tamannaon ka hasil
is shaKH ka har phul bikharne ke liye hai
soi hui har Tis kabhi jag uThegi
jo zaKHm hai is dil mein na bharne ke liye hai
taswir-e-gham-e-dil na kabhi mand paDegi
miTta hua har naqsh ubharne ke liye hai
ye qafila-e-umr-e-rawan rah-e-talab par
do-chaar qadam chal ke Thaharne ke liye hai
'maKHmur' ye duniya wo rasad-gah-e-ajal hai
zinda hai yahan koi to marne ke liye hai

Ghazal
Sine mein kasak ban ke utarne ke liye hai
Makhmoor Saeedi