sine mein jab dard koi bo jata hai
ro lete hain ji halka ho jata hai
tadbiron ke man dhare rah jate hain
hona hota hai jo wo ho jata hai
zaKHmon mein jab dard ki kaskan baDhti hai
nala lab par aa ke dua ho jata hai
hijr ki shab gham ke aansu Dhote Dhote
kajal thak kar galon par so jata hai
sanson mein jab rah ki chap mahakti hai
man aangan KHushbu KHushbu ho jata hai

Ghazal
Sine mein jab dard koi bo jata hai
Ram Awtar Gupta Muztar