sine mein aag aankh su-e-dar lagi rahe
kaam intizar-e-yar mein ai dil yahi rahe
pahlu ke sath chaak-e-jigar bhi zarur hai
KHanjar ke sath ek qarauli lagi rahe
dawat mah-e-siyam ki lazim hai zahido
das bis rose mashghala-e-mai-kashi rahe
ai tifl Dar hai chashm-e-bad-e-pir-e-charKH ka
haikal zarur tere gale mein paDi rahe
so lutf-e-wasl uThaenge ek aur le ke nind
ehsan hai jo murgh-e-sahar chup abhi rahe
tin aasmanon se nahin chhupta hai aaftab
kab ek naqab se teri surat chhipi rahe
aao na mere ghar to na jao kisi ke ghar
meri KHushi rahe na tumhaari KHushi rahe
sone ke waqt ai gul-e-tar itr kya zarur
teri gali mein raat ko champa-kali rahe
hukm-e-sharab de to dua dun ki ai faqih
maston ke hath se teri izzat bachi rahe
ye gharra-e- se wafur-e-sharab ho
KHali ke baad tak bhi tabiat bhari rahe
KHali na koi sher ho bandish ke nur se
ai 'mehr' aalam-e-ghazal-e-'anwari' rahe
Ghazal
Sine mein aag aankh su-e-dar lagi rahe
Syed Agha Ali Mehr