sine ke dagh un ko dikhae na ja sake
mujh se fasane gham ke sunae na ja sake
aise nagar mein mera muqaddar hua muqim
jis mein KHushi ke dip jalae na ja sake
aiwan-e-sabr aaj zamin-bos ho gaya
palkon mein ashk mujh se chhupae na ja sake
hum ne to KHun-e-dil se khilae hain gulistan
tum se to KHar-o-KHas bhi ugae na ja sake
gulshan jo tha KHulus ka yaksar jhulas gaya
jab nafraton ke shoale bujhae na ja sake
bar-e-garan uThata raha hun magar 'wali'
ehsan kisi ke mujh se uThae na ja sake
Ghazal
Sine ke dagh un ko dikhae na ja sake
Vali Madni