اردو हिंदी
Sine ka ab tak hai zaKHm aala miyan | Shaahi Shayari
sine ka ab tak hai zaKHm aala miyan

Ghazal

Sine ka ab tak hai zaKHm aala miyan

Mirza Azfari

;

sine ka ab tak hai zaKHm aala miyan
hai ani mizhgan ki ya bhaala miyan

kis zamane ki ye dushman thi meri
is mohabbat ka ho munh kala miyan

ishq mein tere luTe sab durr-e-ashk
aisi war-KHarchi ne ghar ghaala miyan

jo bisat apni mein tha hosh-o-KHirad
jhoka jholi mein tere lala miyan

ishq ke zewar ko aansu mat kaho
motiyon ki hai ye gul-mala miyan

khol paT ghunghaT ka dikhlaya jamal
mere tale ka khula tala miyan

sarw-e-baala ko tere to dekh kar
ho gai duniya tah-o-baala miyan

neki meri aur badi apni ko jaan
sab badi ko apni to Dhaala miyan

Tala, baala 'azfari' ko de gae
kan ka apne dikha baala miyan