اردو हिंदी
Sina to DhunD liya muttasil apna humne | Shaahi Shayari
sina to DhunD liya muttasil apna humne

Ghazal

Sina to DhunD liya muttasil apna humne

Hasrat Azimabadi

;

sina to DhunD liya muttasil apna hum ne
nahin malum diya kis ko dil apna hum ne

ahd kya kar ke tere dar se uThe the qismat
phir dikhaya tujhe ru-e-KHajil apna hum ne

meri aaludgiyon se na kar ikrah ai shaiKH
kuchh banaya to nahin aab-o-gil apna hum ne

saKHt kafir ka dil afsos na sharmaya kabhi
puja jun but to bahut sang-dil apna hum ne

pani pahuncha sake jab tak meri chashm-e-namnak
jal bujha paya dil-e-mushtail apna hum ne

baad sau ranjish-e-beja ke na paya ba-ghalat
na pashiman tujhe munfail apna hum ne

dar gharibi na tha kuchh aur mayassar 'hasrat'
ishq ki nazr kiya din o dil apna hum ne