sina-safi ki hai jise ainak
us kun didar-e-yar hai be-shak
safha-e-dil kun dagh ki kar mohr
ishq ke shah ne diya dastak
rahzan-e-aql sin nahin wiswas
hun himayat mein ishq ki jab tak
bul-hawas soz-e-dil kun kya jaane
na jale hargiz aag mein abrak
ghair ka naqsh ghair-e-naqsh-nigar
safha-e-dil sati kiya hun hak
shor hai bas ki tujh malahat ka
dil hamara hua hai kan-e-namak
gar jala chahta hai misl-e-'siraj'
ai dil us shoala-ru ki dekh jhalak
Ghazal
Sina-safi ki hai jise ainak
Siraj Aurangabadi