sina-e-pur-soz yaksu chashm-e-giryan yak taraf
dil bache kya yak taraf aatish hai tufan yak taraf
dam sabze ke se bachna tair-e-dil hai muhaal
sabza-e-KHat yak taraf zulf-e-pareshan yak taraf
mustaid hain us but-e-tannaz par bahr-e-nisar
yak taraf sabr-o-dil-o-din jaan-o-iman yak taraf
kis pe shab-KHun marne kun ki saf-ara fauj-e-naz
yak taraf syahi misi ki surKHi-e-pan yak taraf
phir bahaar aai jo baham mustaidd-e-jang hain
yak taraf dast-e-junun jaib-o-gareban yak taraf
Tuk sama kar ai 'jahandar' aaj us kuche mein ja
tegh-bar-kaf hai wo yaksu aur raqiban yak taraf
Ghazal
Sina-e-pur-soz yaksu chashm-e-giryan yak taraf
Meerza Jawan Bakht Jahandar