simab jal gaya to use gard boliye
aashiq fana hua to use mard boliye
sharbat kun KHun-e-dil ke piyo zahr ka sa ghunT
aisa tabib kan hai jise dard boliye
hai kya kitab-e-matla-e-anwar ruKH tera
suraj kun jis ka yak warq-e-zard boliye
jiyun bu hue hain mahw har yak rang-e-gul mein hum
ai bulbulo sada-e-anal-ward boliye
albatta howe matla-e-diwan aaftab
tujh husn ki sifat mein agar fard boliye
bazi hai jaan hijr hai haar aur visal jit
gham hai bisat-e-dil kun mere nard boliye
hai aag aashiqon ka dam-e-sard ai 'siraj'
aur aag ki lapaT kun dam-e-sard boliye
Ghazal
Simab jal gaya to use gard boliye
Siraj Aurangabadi