sim-tan gul-ruKHon ki basti hai
ye badalti ruton ki basti hai
kaun samjhe sukut ki baaten
shahar KHamoshiyon ki basti hai
ye lakiren ghamon ke raste hain
ye hatheli dukhon ki basti hai
zindagi tak zakat Thahra di
ye mere raaziqon ki basti hai
aasman ki tarah hai sath koi
hijr bhi qurbaton ki basti hai
wo talatum-shiar kya jaane
jhil bhi paniyon ki basti hai
aql tafriq ka tamasha hai
aagahi faslon ki basti hai
jism paband-e-gul sahi 'abid'
dil magar wahshaton ki basti hai
Ghazal
Sim-tan gul-ruKHon ki basti hai
Asghar Abid