اردو हिंदी
Sim-o-zar chahe na almas-o-guhar mange hai | Shaahi Shayari
sim-o-zar chahe na almas-o-guhar mange hai

Ghazal

Sim-o-zar chahe na almas-o-guhar mange hai

Nau Bahar Sabir

;

sim-o-zar chahe na almas-o-guhar mange hai
dil to darwesh hai ulfat ki nazar mange hai

jab ghazal mujh se koi misra-e-tar mange hai
kawish-e-fikr mera KHun-e-jigar mange hai

dil ko hai aafiyat-e-anjuman-e-gul ki talab
zindagi dasht-e-mughilan ka safar mange hai

mujh ko le jae jo anjaane dayaron ki taraf
meri aawara-mizaji wo Dagar mange hai

apne mahaul se har shaKHs hai mail-ba-farar
koi bezar hai ghar se koi ghar mange hai

the jo rangini-e-daman-e-nazar ka saman
dida-e-shauq wahi sham-o-sahar mange hai

kal bhi jaan-baz hi karte the nigah-dari-e-haq
ye junun aaj bhi nazrana-e-sar mange hai

ho jahan aib-shumari hi parakh ka mafhum
sabir us shahr mein kya dad-e-hunar mange hai