sidhaari quwwat-e-dil tab aur taqat se kah dijo
hue hain na-tawan hum bistar-e-rahat se kah dijo
mua bhi main to ai yaro jo yaron se mare howe
salam-e-shauq us ka tum meri turbat se kah dijo
gar ai qasid tu us ke ru-ba-ru jawe ishaare se
dua meri bhi us mashuq-e-kam-fursat se kah dijo
suno ai yaro ek mashuq-e-harjai ke jalwe ne
phiraya dar-ba-dar mere tain ghurbat se kah dijo
bayan jo jo ki surat tujh se ki hai main ne ai qasid
tu us ke kan mein jhuk kar usi surat se kah dijo
bhala us ka to dil KHush howega is baat ko sun kar
na pahunche muddaa ko apne hum hasrat se kah dijo
hua diwana, tha wo 'mushafi' tera jo saudai
saba gar us gali mein jae, jamiyyat se kah dijo
Ghazal
Sidhaari quwwat-e-dil tab aur taqat se kah dijo
Mushafi Ghulam Hamdani