shyam gokul na jaana ki radha ka ji ab na bansi ki tanon pe lahraega
kis ko fursat gham-e-zindagi se yahan kaun be-waqt ke rag sun paega
us gali se chali dard ki rau magar shahr mein ahl-e-dil hain na ahl-e-nazar
jaane kis sar se guzregi ye mauj-e-KHun jaane kis ghar ye sailab-e-gham jaega
zulmat-e-gham se itne hirasan na ho kaun mushkil hai yaro jo aasan na ho
ye garan-KHwab lamhe bhi kaT jaenge raat Dhal jaegi din nikal aaega
har nafas har qadam har nae moD par waqt ek zaKHm-e-nau de raha hai magar
waqt KHud apne zaKHmon ka marham bhi hai waqt ke sath har zaKHm bhar jaega
kis lagan kis tamanna se kis chaw se mausam-e-rang-o-nikhat ko di thi sada
kya KHabar thi ki abr-e-bahaar-afrin aag ke phul gulshan pe barsaega
tere gham ke charaghon ki sad-rang zau ek kiran de sakegi na ehsas ko
bazm-e-jaan itni sunsan ho jaegi shahr-e-dil itna viran ho jaega
Ghazal
Shyam gokul na jaana ki radha ka ji ab na bansi ki tanon pe lahraega
Abid Hashri