shuur tak abhi un ki kahan rasai hai
abhi to kitne KHudaon ki wan KHudai hai
guman-e-tirgi raKHshandagi pe hone laga
dayar-e-shab ne ajab dastan sunai hai
ab is pe dur nikal aae to KHafa kyun ho
ye rah bhi to tumhi ne hamein dikhai hai
kabhi jo mujh se mile wo rahe KHamosh magar
pas-e-sukut-e-zaban KHub ham-nawai hai
har ek fikr ki tah mein ho jazba-e-KHalis
bahut hi saKHt taqaza-e-parsai hai
bahut hi KHub ki dariya ke pas rahte ho
kaho ki pyas bhi apni kabhi bujhai hai
jo KHud hi jada-o-manzil se na-balad hai 'obaid'
ajib baat yahan us ki rahnumai hai
Ghazal
Shuur tak abhi unki kahan rasai hai
Obaidur Rahman