shuur-o-fikr ki tajdid ka guman to hua
chalo ki fan ka ufuq kisht-e-zafran to hua
bala se le uDi mujh ko shua-e-nur-e-sahar
fasil-e-shab se guzar kar main be-karan to hua
ye kam nahin hai ki main hun KHalaon ka hamraaz
mere wajud mein gum sara aasman to hua
ye Thik hai ki fana ho gaya wajud us ka
magar wo qatra samundar ka raaz-dan to hua
tamam harf-o-nawa mein simaT gaya lekin
hamara gham bhi bikhar kar gham-e-jahan to hua
junun-e-shauq to maslub ho gaya lekin
har ek lamha mah-o-sal par garan to hua
hamare sath hi bikhra hamari zat ka karb
ye raaz lafzon ke ambar se ayan to hua
main un ke samne aaina ban gaya 'farhat'
KHud apni shakl pe un ko mera guman to hua
Ghazal
Shuur-o-fikr ki tajdid ka guman to hua
Farhat Qadri