shuur-e-zist sahi e'tibar karna bhi
ajab tamasha hai lail-o-nahaar karna bhi
hadis-e-gham ki tawalat giran sahi lekin
kisi ke bas mein nahin iKHtisar karna bhi
bana ke kaghzi gul log ye samajhte hain
ki ek hunar hai KHizan ko bahaar karna bhi
ab is nazar se teri rah dekhta hun main
tera karam hai tera intizar karna bhi
guzarne ko to hum ne baras guzar diye
baDa azab hai ghaDiyan shumar karna bhi
KHulus-o-mehr ki kohna riwayaton pe na ja
qadim rasm hai dhoke se war karna bhi
ab us ke wada-e-farda ka zikr kya karna
mujhe pasand nahin inhisar karna bhi
hamein ne shauq-e-shahadat ki ibtida ki thi
hamin pe KHatm hua jaan nisar karna bhi
jo 'rashk' karna hai tum ko to 'rashk' mujh se karo
ki mera kaam hai logon se pyar karna bhi
Ghazal
Shuur-e-zist sahi etibar karna bhi
Rashk Khaleeli