اردو हिंदी
Shuur-e-qais ne sahra mein KHud-kushi kar li | Shaahi Shayari
shuur-e-qais ne sahra mein KHud-kushi kar li

Ghazal

Shuur-e-qais ne sahra mein KHud-kushi kar li

Seen Sheen Alam

;

shuur-e-qais ne sahra mein KHud-kushi kar li
kaha gaya gham-e-laila mein KHud-kushi kar li

gham-e-hayat ke aatish-kade se aaya tha
wo jis ne kud ke dariya mein KHud-kushi kar li

hamare qatl ka shahid to hai har ek lamha
magar ye shor hai duniya mein KHud-kushi kar li

mila na jab koi autar mujh ko kal-yug mein
nae janam ki tamanna mein KHud-kushi kar li

junun talash-e-bayaban mein munhamik hi raha
KHirad ne saghar-e-sahba mein KHud-kushi kar li

rah-e-hayat na tai ho saki to jamuna ne
suna hai Dub ke ganga mein KHud-kushi kar li