shuur-e-nau-umr hun na mujh ko mata-e-ranj-o-malal dena
ki mujh ko aata nahin ghamon ko KHushi ke sanchon main Dhaal dena
hudud mein apni rah ke shayad bacha sakun main wajud apna
main ek qatra hun mujh ko dariya ke raste par na Dal dena
agar KHala mein pahunch gaya to palaT ke wapas na aa sakunga
tum apni hadd-e-kashish se uncha na mujh ko yaro uchhaal dena
wo suratan aadmi hai lekin mizaj se mar-e-astin hai
agar use aastin mein rakhna to zahr pahle nikal dena
na jaane khiDki se jhankti ye kiran kise rasta dikha de
tum apne kamre ki khiDkiyon par dabiz parde na Dal dena
sukut-e-shab toDne ki KHatir bhi koi hangama sath rakhna
na sham hote hi har tamanna ko qaid-KHane main Dal dena
ye hum ne mana ki tum mein suraj ki si tapish hai magar ye sun lo
ki hum samundar hain aur aasan nahin samundar ubaal dena
Ghazal
Shuur-e-nau-umr hun na mujhko mata-e-ranj-o-malal dena
Ehtisham ul Haq Siddiqui