اردو हिंदी
Shuur-e-kaif-o-KHushi hai zara Thahr jao | Shaahi Shayari
shuur-e-kaif-o-KHushi hai zara Thahr jao

Ghazal

Shuur-e-kaif-o-KHushi hai zara Thahr jao

Shaukat Pardesi

;

shuur-e-kaif-o-KHushi hai zara Thahr jao
wufur-e-gham mein kami hai zara Thahar jao

natija johd-e-musalsal ka aage kya hoga
mahall-e-fikr yahi hai zara Thahar jao

kashakash-e-gham-e-dauran mein zinda rahne ki
tumhi se dad mili hai zara Thahar jao

ye baat tum se koi aur kah nahin sakta
ye baat dil ne kahi hai zara Thahar jao

tumhaare jaane ke ehsas ne jo baKHsha hai
wo zaKHm taza abhi hai zara Thahar jao

ye raat sirf mah-o-kahkashan ki raat nahin
ye raat tum se saji hai zara Thahar jao

zaban kalam ki lazzat se kyun rahe mahrum
nazar nazar se mili hai zara Thahar jao

phir ab na tum se jo hum mil sake to kya hoga
hayat soch rahi hai zara Thahar jao

chaman se dur nasheman ki fikr kya ki abhi
taDap ke barq giri hai zara Thahar jao

tilism-e-aish tumhaari qasam nahin TuTa
fareb-e-KHwab wahi hai zara Thahar jao

ilaj-e-gardish-e-ayyam ke liye 'shaukat'
tamam umr paDi hai zara Thahar jao