اردو हिंदी
Shuur-e-ishq agar fitrat-e-nigah mein hai | Shaahi Shayari
shuur-e-ishq agar fitrat-e-nigah mein hai

Ghazal

Shuur-e-ishq agar fitrat-e-nigah mein hai

Rohit Soni u0027Tabishu0027

;

shuur-e-ishq agar fitrat-e-nigah mein hai
hansi mein us ki wahi hai jo meri aah mein hai

na jaane kaun si manzil hai meri qismat mein
na jaane kaun si manzil abhi bhi rah mein hai

bas ek mujhi se tujhe kyun hai itni hamdardi
suna hai sara zamana teri panah mein hai

pata kyun puchhte rahte ho sab se 'tabish' ka
jo mai-kade mein nahin hai to KHanqah mein hai