اردو हिंदी
Shurua silsila-e-did karne wala tha | Shaahi Shayari
shurua silsila-e-did karne wala tha

Ghazal

Shurua silsila-e-did karne wala tha

Kavish Badri

;

shurua silsila-e-did karne wala tha
taaruf-e-ruKH-e-tauhid karne wala tha

KHud us ki zud lisani ne us ko gung kiya
wo mere haal pe tanqid karne wala tha

mizaj-e-yar ne baKHshi thi aisi yak-rangi
kahan main ghair ki taqlid karne wala tha

tu muntaha ko pahunch kar bhi sifr hai ab tak
tujhe main waqif-e-tamhid karne wala tha

hamari sal mein do bar jaan jati hai
wo shaKHs roz hi ek id karne wala tha

wo mere waz se masjid mein jab sambhal na saka
sharab-KHane mein takid karne wala tha

bacha ke fikr ko talKHaba-e-tawarud se
ghazal ko KHugar-e-taqid karne wala tha

wo ham-piyala bhi tha KHwaja-e-tash bhi 'kawish'
jo baat baat pe tardid karne wala tha