shuru-e-ishq mein logon ne itni shiddat ki
ki rafta rafta kami ho gai mohabbat ki
ye kargah-e-zehanat hai is mein chhoTe kya
baDe-baDon ne yahan par baDi himaqat ki
jahan se ilm ka hum ko ghurur hota hai
wahin se hoti hai bas ibtida jahaalat ki
jo aadmi hai talash-e-sakun mein sadiyon se
usi ne kar di yahan intiha bhi wahshat ki
purane logon ko har daur mein raha shikwa
nae dimaghon ne har ahd mein baghawat ki
dikhai deta nahin apna mom ho jaana
shikayaten hain hamein dhup se tamazat ki
isi liye to andhere mein aaj baiThe hain
ki hum ne apne charaghon ki kab hifazat ki
Ghazal
Shuru-e-ishq mein logon ne itni shiddat ki
Azhar Inayati