shumar-e-subha marghub-e-but-e-mushkil-pasand aaya
tamasha-e-ba-yak-kaf burdan-e-sad-dil-pasand aaya
ba-faiz-e-be-dili naumidi-e-jawed aasan hai
kushayish ko hamara uqda-e-mushkil-pasand aaya
hawa-e-sair-e-gul aaina-e-be-mehri-e-qatil
ki andaz-e-ba-KHun-ghaltidan-e-bismil-pasand aaya
rawani-ha-e-mauj-e-KHun-e-bismil se Tapakta hai
ki lutf-e-be-tahasha-raftan-e-qatil-pasand aaya
'asad' har ja suKHan ne tarh-e-bagh-e-taza Dali hai
mujhe rang-e-bahaar-ijadi-e-be-dil-pasand aaya
Ghazal
Shumar-e-subha marghub-e-but-e-mushkil-pasand aaya
Mirza Ghalib