shukriya hasti ka! lekin tum ne ye kya kar diya
parde hi parde mein apna raaz ifsha kar diya
mang kar hum lae the allah se ek dard-e-ishq
wo bhi ab taqdir ne auron ka hissa kar diya
do hi angare the hathon mein KHuda-e-ishq ke
ek ko dil ek ko mera kaleja kar diya
jab tajalli un ki barq-arzaniyon par aa gai
aable se dil ke paida tur-e-sina kar diya
apni is waraftagi-e-shauq ka mamnun hun
bar-ha mujh ko bhari mahfil mein tanha kar diya
waqiat-e-ishq ka tha lamha lamha ek sadi
har nafas mein main ne ek arman pura kar diya
marhamat farma ke ai 'simab' gham ki lazzaten
zist ki talKHi ko fitrat ne gawara kar diya
Ghazal
Shukriya hasti ka! lekin tumne ye kya kar diya
Seemab Akbarabadi

