اردو हिंदी
Shukr hai KHairiyat se hun sahab | Shaahi Shayari
shukr hai KHairiyat se hun sahab

Ghazal

Shukr hai KHairiyat se hun sahab

Javed Akhtar

;

shukr hai KHairiyat se hun sahab
aap se aur kya kahun sahab

ab samajhne laga hun sud-o-ziyan
ab kahan mujh mein wo junun sahab

zillat-e-zist ya shikast-e-zamir
ye sahun main ki wo sahun sahab

hum tumhein yaad karte ro lete
do-ghaDi milta jo sukun sahab

sham bhi Dhal rahi hai ghar bhi hai dur
kitni der aur main rukun sahab

ab jhukunga to TuT jaunga
kaise ab aur main jhukun sahab

kuchh riwayat ki gawahi par
kitna jurmana main bharun sahab