shukr-e-karam bhi shikwa-e-gham bhi sare unwan aap hue
mujh pe tawajjoh aap ne ki thi mujh se gurezan aap hue
dast-e-talab kab main ne baDhaya kuchh na mila to shikwa kya
kyun mere daman-e-tahi par itne pasheman aap hue
KHak-e-dasht-e-wafa thi ruKH par warna koi baat na thi
aaina apna dhundla pa kar kitne hairan aap hue
uf ye tawazoa hae ye KHatir koi bhala kis dil se kare
umr tamam jahan rahna tha is ghar mehman aap hue
aap ke dam se 'shaz' ka fan hai husn-e-bayan hai rang-e-suKHan hai
nam hamara chal nikla hai sahab-e-diwan aap hue
Ghazal
Shukr-e-karam bhi shikwa-e-gham bhi sare unwan aap hue
Shaz Tamkanat