shujaat ki misalen qabr ke patthar mein rakkhi hain
hamari sari shamshiren ajaib ghar mein rakkhi hain
hawa ki dushmani se hausle TuTe nahin us ke
uDanen to parinde ke shikasta-par mein rakkhi hain
jise chahe dikhata hai jise chahe miTata hai
ki taswiren sabhi ab dast-e-shisha-gar mein rakkhi hain
charaghon ke mohalle mein bahut tezi se chalti hai
ye kaisi wahshaten yarab hawa ke sar mein rakkhi hain
hamare baad aane walon ko koi to samjhae
gae waqton ki tariKHen har ek patthar mein rakkhi hain
gulon se qurbaten sabit faqat KHushbu se hoti hain
qabaen to saba ki qabza-e-sarsar mein rakkhi hain
hum apna saz-o-saman le to aae hain nae ghar mein
magar kuchh dastaken ab bhi purane ghar mein rakkhi hain
wo rah-e-wasl ki paikar nahin binai chalti thi
meri aankhen tere didar ke manzar mein rakkhi hain
Ghazal
Shujaat ki misalen qabr ke patthar mein rakkhi hain
Khwaja Rabbani