shorish se chashm-e-tar ki zi-bas gharq-e-ab hun
din raat bahr-e-gham mein ba-rang-e-hubab hun
ye daur ab to hai ki raqibon ki bazm mein
tu mast ho sharab se aur main kabab hun
mujh KHun-girafta par mere qatil kamar na bandh
mein aap apne qatl ka KHwahan shitab hun
har subh-o-sham bagh mein sahra mein jun nasim
us gul ki justuju ki hawas par KHarab hun
hairat se us ko dekhte hain misl-e-aina
ifsha-e-dard-e-dil se khaDa be-jawab hun
aagah hai KHuda hi 'muhib' roz kis liye
nazron mein un butan ki mahall-e-itab hun

Ghazal
Shorish se chashm-e-tar ki zi-bas gharq-e-ab hun
Waliullah Muhib