shorish-e-waqt hui waqt ki raftar mein gum
din guzarte hain tere KHwab ke aasar mein gum
kya ajab thi wo fazaon mein ghuli bu-e-qadim
shahr ka shahr hua wahshat-e-asrar mein gum
is kahani ka bhi unwan koi hairat-e-husn
aaina aks mein aks aaina-bardar mein gum
dekh ye aankh teri chhab se hui KHakistar
sun samaat hai teri narmi-e-guftar mein gum
jo tere KHitta-e-be-ab ki KHwahish na bana
kulbulata hai wo dariya kisi kohsar mein gum
ab tamannaon ke isbaat ka sahte hain azab
hum ki rahte the kabhi nashsha-e-inkar mein gum
kis tarah un pe KHamoshi ke maani khulte
umr bhar log rahe lafz ki takrar mein gum
Ghazal
Shorish-e-waqt hui waqt ki raftar mein gum
Saeed Ahmad