اردو हिंदी
Shorish-e-paiham bhi hai afsurdagi-e-dil bhi hai | Shaahi Shayari
shorish-e-paiham bhi hai afsurdagi-e-dil bhi hai

Ghazal

Shorish-e-paiham bhi hai afsurdagi-e-dil bhi hai

Rahi Shahabi

;

shorish-e-paiham bhi hai afsurdagi-e-dil bhi hai
zindagi bahta hua dhaara bhi hai sahil bhi hai

qais ki nazron se koi dekhne wala to ho
najd mein laila bhi hai jalwe bhi hain mahmil bhi hai

qissa-e-dar-o-rasan ya qissa-e-gesu-o-qad
kuchh to chheDo waqt bhi hai rang par mahfil bhi hai

kya kare pamal-e-gham ek yaad-e-mazi hi nahin
haal ki bhi talKHiyan hain fikr-e-mustaqbil bhi hai

hai idhar tufan daman-gir 'rahi' kya karun
muntazir mera udhar koi lab-e-sahil bhi hai