shor yunhi na parindon ne machaya hoga
koi jangal ki taraf shahr se aaya hoga
peD ke kaTne walon ko ye malum to tha
jism jal jaenge jab sar pe na saya hoga
bani-e-jashn-e-bahaaran ne ye socha bhi nahin
kis ne kanTon ko lahu apna pilaya hoga
bijli ke tar pe baiTha hua hansta panchhi
sochta hai ki wo jangal to paraya hoga
apne jangal se jo ghabra ke uDe the pyase
har sarab un ko samundar nazar aaya hoga
Ghazal
Shor yunhi na parindon ne machaya hoga
Kaifi Azmi