اردو हिंदी
Shor sahil ka samundar mein na tha | Shaahi Shayari
shor sahil ka samundar mein na tha

Ghazal

Shor sahil ka samundar mein na tha

Mohammad Alvi

;

shor sahil ka samundar mein na tha
main ne dekha mere andar mein na tha

mere dushman sab mere ham-rah the
ek bhi dushman ke lashkar mein na tha

main yunhi ek ek ghar jhanka kiya
wo to mere sath tha ghar mein na tha

us ki surat hi mein ye tasir thi
pyar ka sauda mere sar mein na tha

apne hathon mar gaya hota magar
ye maza mere muqaddar mein na tha