shor mein irtikaz milta hai 
tab kahin ja ke raaz milta hai 
gunj uThti hai dur tak aawaz 
soz se jaise saz milta hai 
aap hi aap hath malte hue 
zindagi ka jawaz milta hai 
KHwab milte hain maKHmalin kis ko 
kis ko bistar gudaz milta hai 
kis se hoti hain raaz ki baaten 
kis ko wo be-niyaz milta hai 
dekhiye kaun si hawaon mein 
wo hawai-jahaz milta hai
        Ghazal
Shor mein irtikaz milta hai
Imran Shamshad

