shor mat karna abhi meri ghazal ke pichhe
hasraten soi hain is taj-mahal ke pichhe
ghaur karta hun to kuchh zaiqa baDh jata hai
aandhiyan jheli hain peDon ne bhi phal ke pichhe
bas yahi soch ke main apne uThata hun qadam
ruh chalti hai buzurgon ki amal ke pichhe
Ghazal
Shor mat karna abhi meri ghazal ke pichhe
Nashir Naqvi