shor kaisa hai mere dil ke KHarabe se uTha
shahr jaise ki koi apne hi malbe se uTha
ya uTha dasht mein diwane se bar-e-furqat
ya tere shahr mein ek chahne wale se uTha
ya meri KHak ko mil jaane de is miTTi mein
ya mujhe KHun ki lalkar pe kuche se uTha
tu mere pas nahin hota ye sach hai lekin
teri aawaz par har subh mein sote se uTha
chaak pe rakkha hai to lams bhi de hathon ka
meri pahchan tattul ke andhere se uTha
dil ki hai KHun ka ek qatra magar duniya mein
jab uTha hashr isi ek ilaqe se uTha
ye ujalon ki inayat hai ki banda-e-'ashhar'
apne sae pe gira apne hi sae se uTha
Ghazal
Shor kaisa hai mere dil ke KHarabe se uTha
Ashar Hashmi