اردو हिंदी
Shor-e-tufan-e-hawa hai be-aman sunte raho | Shaahi Shayari
shor-e-tufan-e-hawa hai be-aman sunte raho

Ghazal

Shor-e-tufan-e-hawa hai be-aman sunte raho

Shamsur Rahman Faruqi

;

shor-e-tufan-e-hawa hai be-aman sunte raho
band kuchon mein rawan hai KHun-e-jaan sunte raho

kan sun hone lage hain apne gosh-e-hosh se
surKH pariyon ki sada daman-kashan sunte raho

garmi-e-awaz ko shola bana kar phul sa
dur tak hadd-e-nazar tak raegan sunte raho

shorish-e-bahr-e-karam mein mahi-e-mishal kahan
jism-e-shab mein din ki dhaDkan be-guman sunte raho

gaDhi tariki mein bhaari barg-e-KHwahish ki mahak
misl kaunde ke makan andar makan sunte raho