اردو हिंदी
Shor-e-mahshar uTha har samt se mai-KHane mein | Shaahi Shayari
shor-e-mahshar uTha har samt se mai-KHane mein

Ghazal

Shor-e-mahshar uTha har samt se mai-KHane mein

Nayyar Aasmi

;

shor-e-mahshar uTha har samt se mai-KHane mein
jaane kya Dal diya saqi ne paimane mein

mahfil-e-husn mein shauq-e-dil-e-zahid mat puchh
ghol kar tauba ko pi jate hain paimane mein

mil gaya mujh ko pari-KHana-e-dil mein aaKHir
jis ko DhunDa tha bahut kabe mein but-KHane mein

uTh gae rind-e-bala-nosh sanam-KHane se
KHak uDti si nazar aati hai mai-KHane mein

karwan manzil-e-maqsud pe pahuncha 'nayyar'
main ki phirta hun abhi dasht mein virane mein