اردو हिंदी
Shor-e-dariya hai kahani meri | Shaahi Shayari
shor-e-dariya hai kahani meri

Ghazal

Shor-e-dariya hai kahani meri

Baqar Naqvi

;

shor-e-dariya hai kahani meri
pani is ka hai rawani meri

kuchh ziyaada hi bhali lagti hai
mujh ko taswir purani meri

jab bhi ubhra tera mahtab-e-KHayal
khil uThi raat ki rani meri

baDh ke sine se laga leta hun
jaise har gham ho nishani meri

mehrban mujh pe hai ek shaKH-e-gulab
kaise mahke na jawani meri

phir tere zikr ki sarson phuli
phir ghazal ho gai dhani meri

kuchh to aamal bure the apne
kuchh sitaron ne na mani meri

likhi jaegi tere barf ke nam
jo tamanna hui pani meri

tum ne jo bhi kaha main ne mana
tum ne ek baat na mani meri

muKHtasar baat thi jaldi bhi thi kuchh
is pe kuchh zud-bayani meri