اردو हिंदी
Shor-e-atash jo phulon ki har anjuman mein hai | Shaahi Shayari
shor-e-atash jo phulon ki har anjuman mein hai

Ghazal

Shor-e-atash jo phulon ki har anjuman mein hai

Dhanpat Rai Thapar Raz

;

shor-e-atash jo phulon ki har anjuman mein hai
kaifiyyat-e-bahaar ki shiddat chaman mein hai

faiz-e-nasim se hain khile gul rawish rawish
firdaus ki bahaar hamare chaman mein hai

wo kaifiyat kahan hai mai-e-nau-kashid mein
jo lutf jo maza ki sharab-e-kuhan mein hai

shahnaz-e-gul bata de zara ahl-e-shauq ko
KHushbu ye kis badan ki tere pairahan mein hai

'sahir' ke faiz-o-lutf se kah leta hai ghazal
ab 'raaz' ka shumar bhi ahl-e-suKHan mein hai