اردو हिंदी
Shor ab aalam mein hai us shobada-pardaz ka | Shaahi Shayari
shor ab aalam mein hai us shobada-pardaz ka

Ghazal

Shor ab aalam mein hai us shobada-pardaz ka

Aish Dehlvi

;

shor ab aalam mein hai us shobada-pardaz ka
charKH bhi ek shobada hai jis sarapa naz ka

sada-rui qahr thi aur us pe ab aaya hai KHat
dekhiye anjam kya hota hai is aaghaz ka

tir howe jis ki mizhgan aur ho abru kaman
dil na ho qurban kyun kar aise tir-andaz ka

us ke shahin-e-nigah ko tair-e-dil ke liye
panja-e-mizhgan nahin goya hai chungul-baz ka

'aish' mujh ko be-par-o-baali par-e-parwaz hai
main nahin mohtaj kuchh baal-o-par-e-parwaz ka