shor aahon ka uTha nala falak sa nikla
aaj is dhum se zalim tera shaida nikla
yun to hum the yunhi kuchh misl-e-anar-o-mahtab
jab hamein aag dikhai to tamasha nikla
gham se hum bhanmati ban ke jahan baiThe the
ittifaqan kahin wo shoKH bhi wan aa nikla
sine ki aag dikhane ko dahan se apne
shoale par shoala bhabhuke pe bhabhuka nikla
mat shafaq kah ye tera KHun falak par hai 'nazir'
dekh Tapka tha kahan aur kahan ja nikla
Ghazal
Shor aahon ka uTha nala falak sa nikla
Nazeer Akbarabadi