shola-e-ishq mein jo dil ko tapan rakhte hain
apni KHatir mein kahan kaun-o-makan rakhte hain
sar jhukate hain usi dar pe ki wo jaanta hai
hum faqiri mein bhi andaz-e-shahan rakhte hain
baadban chaak hai aur baad-e-muKHalif munh-zor
hausla ye hai ki kashti ko rawan rakhte hain
wahshat-e-dil ne hamein chain se jine na diya
chashm giryan kabhi jaan shola-fishan rakhte hain
us ko fursat nahin to hum bhi zaban kyun kholen
warna sine mein gul-e-zaKHm nihan rakhte hain
arsh-ta-farsh phiraya gaya kucha kucha
ab KHuda jaane meri KHak kahan rakhte hain
dil mein wo rashk-e-gulistan liye phirte hain 'shamim'
phul khilte hain qadam aap jahan rakhte hain
Ghazal
Shola-e-ishq mein jo dil ko tapan rakhte hain
Syed Ahmed Shameem