اردو हिंदी
ShoKHi ne teri lutf na rakkha hijab mein | Shaahi Shayari
shoKHi ne teri lutf na rakkha hijab mein

Ghazal

ShoKHi ne teri lutf na rakkha hijab mein

Shefta Mustafa Khan

;

shoKHi ne teri lutf na rakkha hijab mein
jalwe ne tere aag lagai naqab mein

wo qatra hun ki mauja-e-dariya mein gum hua
wo saya hun ki mahw hua aaftab mein

us saut-e-jaan-nawaz ka sani bana nahin
kya DhunDte ho barbat-o-ud-o-rabab mein

puchhi thi hum ne wajh-e-mulaqat-e-muddai
ek umr ho gai unhen fikr-e-jawab mein

laDti na jae aankh jo saqi se 'shefta'
hum ko to KHak lutf na aae sharab mein