shoKHi-e-garmi-e-raftar dikhate na chalo
fitna-e-hashr ko simab batate na chalo
ghair bhi karne lage naqsh-e-qadam par sajde
naqsh-e-hub dil pe raqibon ke biThate na chalo
chalte chalte to na ghairon se hanso bahr-e-KHuda
KHak mein ashk namat mujh ko milate na chalo
nigah-e-garm se gulshan mein na dekho gul ko
aatish-e-rashk se bulbul ko jalate na chalo
us ke kuche se na ghabra ke chalo ai 'tanwir'
log pa jaenge aankhon ko churaate na chalo

Ghazal
ShoKHi-e-garmi-e-raftar dikhate na chalo
Tanvir Dehlvi